Sunday 13 March 2016

BHARTIYE ROG NIDAN PADDTI , INDIAN TREATMENT

1 :   Ayurvedic Treatment for Pimples in Hindi: Muhaso Se Paye Nijad Turant Prabhav se

   

Har koi chikni aur bedag galo ki chah rakhta hai. Par aisa hona shayad har kisi ki kismat mai nahi hota. Muhase (pimples) hone ki wajah se chehre par dag pad jate hai. Jisse ki chehre ki khubsurti par bahut asar padta hai. Kai bar to muhase thik ho jate hai. Par uske dag itne gehre ho jate hai ki wo jaldi jane ka naam nahi lete. Isliye behatar hoga ki aap inhe aane hi na de.
Jaruri nahi ki pimples sirf teen agers ko hi ho. Aajkal yeh har kisi ko hote hai. Isse koi farak nahi padta ki aap kis umra ke hai. Aajkal ki stress bhari life aur pradhushan ke chalte, chahe koi kala ho ya gora sabhi ko pimples aur redness ka samna karna pad raha hai. Pimples hone ke piche ke do mukhya karan hai, pehla teliya twacha aur dusra sharir mai harmones ka badlav. Halanki yeh ek aam samasya hai, lekin ise najarandaj nahi kiya ja sakta hai. Aaiye hum aapko Ayurvedic Treatment for Pimples in Hindi ke bare mai batate hai.


Ayurvedic Treatment for Dry Skin And Ded Cells




Rukhi twacha oily twacha se jyada najuk hoti hai, isliye iski dekhbhal ki jyada jarurat padti hai. Rukhi twacha par dryness hone ki vajah se iss par jhuriya, barik line aur rashes jaldi ho jate hai.
Saath hi  rukhi twacha valo ki umar bhi jaldi dikhai dene lagti hai. Isliye jin logo ki skin bahut oily hai. Unhe apani skin ko komal banana ke liye kuch ghrelu upay ka sahar lena chahiye.
Rukhi twacha mai apna  koi oil nahi hota hai, isliye use bahar se poshan ki jarurat padti hai. To chaliye hum aapko baatate hai, Dry Skin Care Tips in Hindi.


Hair Problem Solution And Treatment




Sundar aur ghane balo ki chahat har mahila ki hoti hai. Lekin proper nutrients aur sahi dhyan na rakhne se baal jhadne lagte hai aur unhe majbuti nahi mil pati. Sath hi sath balo ke rukhepan se bhi mahilaye chintit rehti hai. Balo ko chamakdar aur ghana kaise banaye iske liye ap rakhe kuchh bato ka khayal jo bana dega apke balo ko chamakdar aur dandruff se mukt.
  • Dahi (curd) aur ande (eggs) ko milakar conditioning karne se baal strong rehte hai.
  • Hafte me 2 bar gungune tel se massage kare, yaisa karne se hairs ko sahi nutrients milenge aur apke head ka blood circulation sahi bana rahega.
  • Rusi yani dandruff ko khatm karne ke liye rye ya methi (fenugreek) ke dano ko peeskar aur paste banakar apne balo par lagaye. 2 chammach nariyal (coconut) oil me 1 chammach numbu (lemon) ka ras milakar balo ki jado par lagane se bhi rusi dur hoti hai.
  • Surajmukhi ke tel (sunflower oil) se balo ki jado tak massage karne se balo ka rukhapan dur hota hai.
  • Balo ki niyamit safai ke liye ap week me 2 se 3 bar besan (gram flour) ya chawal (rice) ke ate se balo ko dhoye.
  • Balo ko dhone se pehle nariyal ke gungune tel se balo ki massage kare aur balo ko gile towel se lapet kar rakhe aur 1 ghante ke baad bal dho le.
  • Balo ko lambe banaye rakhne ke liye castor oil lagaye, yeh apke balo ki growth karega.
  • Balo par soap ka prayog na kare aur na hi daily shampoo ka istemal kare.
  • Balo par nahane se pehle sarso ke tel (mustard oil) ki malish karne se bal jhadne kam ho jayenge.
  • Balo par chamak lane ke liye 2 chammach mehendi powder me 1 chammach methi dana, 1 chammach dahi, adha chammach coffee powder, 2 chammach pudina ka ras, 2 chammach tulsi ka ras milakar uske paste ko balo par 2 ghante tak lagakar rakhe aur yadi jyada dark hair chahti hai to 3-4 ghanto tak balo par rakhe.

Balo Ko Kala Karne Ke Ayurvedic Gharelu Nuskhe (Home Prescriptions to Get Black Hair at Home)

Kali Mirch Ka Prayog (Use Black Pepper)

Ayurved me kali mirch sehat ke liye badi faydemand hoti hai sath hi yeh balo ko kala karne me bhi behad labhkari hoti hai. Uble pani me kali mirch ke dano ko dale aur gile balo me is kali mirch ke pani ko balo ke upar dale, kuchh mahino tak lagatar aisa karne se bal dhire dhire kale hone lagte hai.

Aloe Vera Ka Prayog (Use Aloe Vera)

Balo ko kala karne ke liye ap aloe vera ka bhi istemal kar sakte hai. Aloe vera ke gel me thodi nimbu ko bunde dalkar paste banaye aur balo par niyamit lagaye. Yeh apke balo ko jhadne se rokega aur balo ko kala banayega.

Amla Ka Upyog (Use Amla)

Sehat ke liye amla behad faydemand hota hai sath hi iske niyamit sewan karne se balo ko poshan milta hai. Amle ko sukhakar uska powder banakar mehendi me milakar iska ghol bana lijiye aur balo par isko lagaye. Kuchh dino tak aisa karne se bal kale hone lagenge.

Deshi Gaay Ke Ghee Ka Istemal (Use Cow Ghee)

Purane samay se hi deshi gaay ka ghee istemal log bhojan me karte aye hai jo sharir aur sehat dono ke liye behad labhkari hota hai, lekin kya apko pata hai desi gaay ke ghee ko balo par lagane se bhi safed bal kale ho sakte hai. Desi gaay ke ghee ke niyamit malish se safed bal kale hote hai. Hafte me ek baar desi ghee ko balo par lagaye.

Dahi Lagaye (Use Yogurt)

Balo ko kala karne ke liye ap dahi (curd) ka istemal bhi kar sakte hai. Dahi (curd) balo ko kala banane me ek kargar ayurvedic upay hai. Iske liye dahi aur hina ko milakar paste taiyar kare aur har hafte ek baar balo par lagaye. Kuchh samay baad apko fark dikhna suru ho jayega.

Dudh Ka Prayog (Use Milk)

Gaay ke kacche taje dudh se balo ko niyamit dhone se baal kabhi safed nahihote.

Curry Ke Patte (Use Curry Leaves)

Balo karne ke liye curry patto upyog prachin samay se hota a raha hai. Nahane ke tub me curry patto ko ek ghante ke liye dalkar chhod digiye aur us pani se apne balo ko dho lijiye. Kuchh hafto me fark dikhega.
In natural upayo ko karne se baal kale hone lagte hai, par iskeliye apko intjar karna jaruri hai.
Khane me nutrients ki kami aur kuposhan ke karan bhi bal safed hone ki samasya ho sakti hai. Isliye yadi in upayo se fayda na mile to apne doctor se janch jarur karaye.

No comments:

Post a Comment